Ek Musafir

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hai Musafir Ki Tarah

Posted on: September 13, 2008


Lyrics: Qaiser ul Jafri
Singer: Ghulam Ali

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De

Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

43 Responses to "Hum Tere Shehar Mein Aaye Hai Musafir Ki Tarah"

MUJHE pyar ho gaya hai

Like

My favourite ghazal. . . . . . Very nice

Like

lovely gazal

Like

Dil mein aag lg gyi

Like

I love this song beacuse when did i go to my love city i sing with her she impres she weep take my hand cover

Like

Hum is duniya me aaye hai musafir ki tarah

Like

I like it ghagel , nice very nice ghagel , thank u gulfam alisab.

Like

i rialy like this ghazal heart tuching

Like

very nice song ……………

Like

Leave a comment

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,267,156 hits