Ek Musafir

Musafir Ke Raste Badalte Rahe

Posted on: July 8, 2015


Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe

Mire raaston mein ujala raha
Diye uski ankhon mein jalte rahe

Koi phool sa haath kandhe pe tha
Mire paon sholon pe chalte rahe

Suna hai unhen bhi hawa lag gayi
Hawaon ke jo rukh badalte rahe

Wo kya tha jise hamne thukra diya
Magar umr bhar haath malte rahe

Mohabbat, adavat, wafa, berukhi
Kiraye ke ghar they badalte rahey

Lipat kar chiraghon se wo so gaye
Jo phoolon pe karwat badalte rahey

 

Bashir Badr

4 Responses to "Musafir Ke Raste Badalte Rahe"

Haatho ki lakeeron par mat ja ye galib Naseeb to unke bhi hote hai
Jinke hath nahi hote..

Mai ye nahi ccahta ki koi tumhaare liye duwa na mange …
Mai ye ccahta hun ki koi duwa me tumhe na mange..q1

Like

Hawthorne ki lakeeron par mat ja ye galib
Naseeb to unleash bhi hote hai..
Jinke hath nahi hote

Mo. Ahmad husna Praveen

Like

ज़िंदगी से अपना हर दर्द छुपा लेना,
ख़ुशी न सही गम गले लगा लेना,
कोई अगर कहे मोहब्बत आसान है,
तो उसे मेरा टूटा हुआ दिल दिखा देना.

Like

Leave a comment

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,267,663 hits