Ek Musafir

Archive for the ‘Judai Shayari’ Category


Jod Lagtey Gaye Fasane Main
Raaz Khultey Gaye Chupane Main…
Root ne ka Sabab Buss Woh hi Jaane
Hum toh Masroof hain Unhe Manane Main..


Dilon se Khelne ka Hunar Hume Nahi Aata
Isi Liye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi se Shayad Unhe Bahut Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye….


Pehele Kehete Te Ki ‘MUSAFIR’ Bhool Jawo Muhje,
Hum Bhi Bhoolenge…
Phir Keh Gaye Ki Hum Tumse Pyar Nahi Karte,
Kisi Aur se Bhi Nahi Karenge….
Toh Phir Kal Kis Se Mil Kar Aayi Zaalim,
Hum Se Chupkar?
Zeher Dede, Is Dard Ke Bajai,
Mar Jayenge, Par Kisi Se Nahi Kahenge….


Dekh Kar Eid Ka Chand Ye Dua Mang Rahain hain
Aye Khuda Un Ankhon Main ye Chand Hamesha Chamke
Phichli Eid Main Jitna Yaad Kiya Tha Unhe Ya Khuda
Is Saal Eid Sirf Yaad Main Na Guzre


Tere Bina Dil Mera Ek Pal Bhi Nahi Lagta
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Raah-e-Wafa Main Dard K Hathon
Aise Mujhey Majhboor Na Kar
Dekh Mujhey Tu Nazaroon Se
Apni Door Na Kar
Jeevan Ka Safar Tanha Ab Mujhse Nahi Kat Tha
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Dekh Main Zakhmoon Ki Es
Aag Main Jalta Rahta Hoon
Bhier Main Ghum Ki Tanha
Chalta Rahta Hooon
Badal Yeh Jafaon Ka Mere Sar Se Nahi Hat tha
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Tere Bina Dil Mera Ek Pal Bhi Nahi Lagta
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha


Singer: Nusrath Fateh Ali Khan

Musician: Farrukh fateh ali khan

Lyricist: Purnam

Type: Qawwali

 

Tumhen dil lagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
TaDapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

Wafaon ki humse tawwaqo nahin hai
Magar ek baar aazamaa kar to dekho
Zamaney ko apanaa banaa kar to dekha
Hamey bhi tum apana banaa kar to dekho

Khuda ke liye chor do abb yeh parda
Ke hain aaj hum tum nahi ghair koi
Shab-e-vasl bhi hai hijaab iss khadr kyun
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho

Jafa’ein bahut ki bahut zulm Dhaye
Kabhi ek nigah-e-karam iss taraf bhi
Hamesha huey dekh kar mujh ko barham
Kisi din zara muskura kar to dekho

Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
Sataatey ho din raat jis tarah mujh ko
Kisi ghair ko yun sataakar to dekho

Agar’chey kisi baat per woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni sahi karlo
Woh maaney na-maaney yeh marzi hai unki
Magar unko ‘PURNAM’ manaa kar to dekho

 

 


Koun kehta hai
Uske bina hum mar jayenge,
Wo taras jayegi
Pyaar ki ek boond k liye,
Hum toh baadhal hai
Kisi aur par baras jayenge…


Jo Mohabat-E-Fiqr Na Hoti, Haan Tumhe Bhool Jate Sanam,
Kyu Raaton Ki Neendo Ko Phir Apni Gawate Hum,
Raha Baaki Kya Aa Zara Mujh Mein To Dekh….
Ek Tera Chehra Jise Din Raat Aankho Mein Sajate Hai Hum.


While I was checking some of comments which placed on ma blog by visitors, I liked two shers (shayaris) about Eid and Chaandh… Just check it out. Here they are:

* * * * * * * * * * * * * * * * *

Eid Aake Gayi
Par Deedh Tumhari Na Hui,
Sab Gale Mil Mil Ke Hans Rahe They
Apne Apne Yaar Se,
Hum Toh Gale Mil Mil Ke Ro Rahe They
Dar-e-Deevar Se….

* * * * * * * * * * * * * * * * *

Chand Ko Khud Par Guroor Hai,
Ki Uske Paas Noor Hai.
Ham Kis Par Guroor Kare…
Hamara Toh Chand Hamse Door Hai…..

* * * * * * * * * * * * * * * * *


Koi Vada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hain,
Judai Ke Baad Bhi Tujhse Pyaar Hain,
Tere Chehre Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi,
Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hain.




A Boy and a Girl loved each other. Unfortunately, the girl died…. When dying, she said..
“Ek wada tha tere har wade ke peeche,
Thu milega mujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par thu tho ab ek bewafa nikla,
Ek thu hi nahi tha mere Janaze ke peeche”

That time the boy said..
“Ek wada tha mere har wade ke peeche,
Mai milunga tujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par tum ne hi mudke na dekha..
Ek aur Janaza tha tere Janase ke peeche”



Yaad hain? ek din hum chaman main beite beite
Hamari nishan-e-mohabbath ke liye
Pyara sa gulab ka ek ped lagaya tha…!
Jugnu-o-Gul-o-gulzaron ne use khoob sajaya tha…!
Ek doosron- ke bahon-main khoye huwe hum ko
hawaon ne jagaya tha.
Chali gayi thi chorr ke…
Maine bulaya…
“aakar dekho, us par phool aaya hai”

Yaad he? uss din kaha tha tum ne beite beite
Mujhe apni bahon main liye huwe…
Jab tak saans hain, paas rahogey
Mera saaya banker saat phirogey
Phir bhi chali gayi who waadey torr ke…!
Aaj baharon ne mera chaman loota he…
Aur apnon ne mera aman loota he
Uski bahon ke bina khona chorr diya..
Toh hawaon ne bhi aana chorr diya…
Ab na Jugnu chamkey, Na Gul Khile, Na gulzar mehke ‘Musafir’..
Maine bulaya:
“aakar dekho, wo phool murjha gaya hai”


Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeeney Ki Aadat Hogayee

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye

Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee

Kaafile Nikal Gaye Humey Chod Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,

Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karney Ki Aadat Hogayee


Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,267,670 hits