Ek Musafir

Author Archive


Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe

Mire raaston mein ujala raha
Diye uski ankhon mein jalte rahe

Koi phool sa haath kandhe pe tha
Mire paon sholon pe chalte rahe

Suna hai unhen bhi hawa lag gayi
Hawaon ke jo rukh badalte rahe

Wo kya tha jise hamne thukra diya
Magar umr bhar haath malte rahe

Mohabbat, adavat, wafa, berukhi
Kiraye ke ghar they badalte rahey

Lipat kar chiraghon se wo so gaye
Jo phoolon pe karwat badalte rahey

 

Bashir Badr


Aansuon ko ankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo ,
Log mutthi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne zakhm kisi ko dikhaaya na karo !


Koi bhi waqt ho has kar guzaar leta hoon
Khizan ke daur mein ehd-e-bahaar leta hoon…
Gulon se rang sitaron se roshni lekar
Jamaal-e-yaar ka naksha utaar leta hoon..


Kaise Daur-E-Jahalat main Jee Rahe hain Hum IQBAL…
Yahan Aadam Ka Beta Khush Hota Hai Hawwa Ki Beti Ko Benaqab Dekh Kar !


Jod Lagtey Gaye Fasane Main
Raaz Khultey Gaye Chupane Main…
Root ne ka Sabab Buss Woh hi Jaane
Hum toh Masroof hain Unhe Manane Main..


Udasiyaan Jo Na Latey toh aur Kya Karte
Na Jashn-e-Shola Manate toh aur Kya Karte…
Andhera Maangne aya tha Roshni ki Bheek
Hum Apna Ghar na Jalate toh Aur kya Karte…


Sometimes, some of your friends who appear offline in yahoo messenger may not be actually offline; they may in the ‘Invisible’ mode. This is maybe, if they are trying to ignore you or are too busy to talk to anyone.

There is this small trick that you can use to find out what the truth is.

* Firstly open your yahoo messenger main window and double click on the name of the person whom you want to check

* The chat window will open obviously. Click IMVironment button, select See all IMVironments, select Yahoo! Tools or Interactive Fun, and click on Doodle.

* After loading the Doodle imvironment, there can be two possibilities. If the user is offline Doodle are will show this “waiting for your friend to load Doodle” continuously.

You can also easily check the status of the Yahoo chat users using the Web sites given below:

www.yahoo10.com

www.ydetector.com

www.imvisible.info


The WordPress.com stats helper monkeys prepared a 2012 annual report for this blog.

Here’s an excerpt:

About 55,000 tourists visit this blog every year. This blog was viewed about 210,000 times in 2012. If it were Liechtenstein, it would take about 4 years for that many people to see it. Your blog had more visits than a small country in Europe!

Click here to see the complete report.


Socha tha ke koi bohot toot kar chahega hame… Lekin yeh kya sitam hai,
Ke Socha bhi hamne… Chaha bhi hamne… Aur toote bhi hum…


Acha hua Maloom ho gaya, apno ki Mohabbat ab
mohabbat nahi rahi….
Warna hum toh apna ghar bhi chord rahe they, unke
dil main rehne ke liye….


Ye Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai
Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai

Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane
Pyaar kya hai ?
Hum aksar sochte they
Is Baat se Hum apne Dil ko rokte they
Lekin ab Tumhain is Dil main basa ker
Yeh Khata ek baar karna chahta hai

Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai..


Duniya main har kisiko mukkamal jahan nahin milta
Wafa karke bhi is dil ko kahin panah nahin milta
Saanse ab bhi baki hai is jism mein , is ummeed se
Ke koi apna nahin toh begana hi milta !


Tumhen Bhuulane Ki Mai Koshish Karunga,
Ye Vaada Karo Ke Na Tum Yaad Ana,

Mujhe Mere Mitne Ka Gam Hai To Ye Hai,
Tumhen Bevafaa Kah Raha Hai Zamana,

Ay Humnawa, Meri Qabr Pe Tum Na Aana,
Tumhen Dekh Kar Shaq Karega Zamana…


Jaan Kar Bhi Woh Mujhe Jaan Na Paiye,
Aaj Tak Woh Mujhe Pehchan Na Paye,
Khud Hi Karli Bewafai Hum Ne,
Takih, Un Par Koi Ilzaam Na Aaye…


Dekhte Dekhte Tu Meri Zindagi Ban Gayi……
Phir Na Jane Kaise Meri Bandagi Ban Gayi…….
Ae Humnawa Tuh Mujhe Yuh Majhdhaar Mein Chhodkar….
Jane Kyo Bewafa Ban Gayi………


Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,267,663 hits