Ek Musafir

Archive for the ‘Dosthi Shayari’ Category


Har Gali phoolo se sajaa rakhi hai,
Har chauk par ladkiya bitha raki hai,
Jaane kis gali se Guzrenge mere Dost,
Har ladki ke hath me ek ek Rakhi thamma rakhi hai..


Ishq or dosthi meri zindagi ke do rasthe hai,
Ishq meri rona aur dosti mere hasna hai,
Ishq pe kar doon fida mein apni sari zindagi
Magar dosti par mera ishq bhi qurban hai.


Guzare huve kal ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain.
Woh rangeen subah aur wo nirali shaam doob jaati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.


Chaman salamath he,
tho phool khilthe rahenge,
Zindagi baaki he,
tho ham thum milthe rahenge….!


Khamoshi me jo sunoge, wo awaz meri hogi,
zindaghi bhar saath rahe, wo dosthi meri hogi.
Duniya ki har kushi tumhari ho,
kyunki, in sab ke peeche duwa hamari hogi….!


Aap se door hokar ham jaayenge kaha,
aap jaisa yar ham payenge kahan,
Dil ko kaise bhi sambhal-lenge
par ankhoke aansu ham chupayenge kaha….?


Yadon-ke sahare duniya nahi chalthi,
Bina mile kabi mehefil nahi banthi.
Ek baar dil se pukaaro tho dosth,
dosthon-ke chahath ke bina, ye dhadkan bhi nahi chalthi.


Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,267,668 hits