Ek Musafir


Dilon se Khelne ka Hunar Hume Nahi Aata
Isi Liye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi se Shayad Unhe Bahut Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye….


Pehele Kehete Te Ki ‘MUSAFIR’ Bhool Jawo Muhje,
Hum Bhi Bhoolenge…
Phir Keh Gaye Ki Hum Tumse Pyar Nahi Karte,
Kisi Aur se Bhi Nahi Karenge….
Toh Phir Kal Kis Se Mil Kar Aayi Zaalim,
Hum Se Chupkar?
Zeher Dede, Is Dard Ke Bajai,
Mar Jayenge, Par Kisi Se Nahi Kahenge….


Dekh Kar Eid Ka Chand Ye Dua Mang Rahain hain
Aye Khuda Un Ankhon Main ye Chand Hamesha Chamke
Phichli Eid Main Jitna Yaad Kiya Tha Unhe Ya Khuda
Is Saal Eid Sirf Yaad Main Na Guzre


Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Aik Baar Kijiye
Kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Dedaar Kijiye

Ho Jaaiye Begaane Aap Shauq Se Sanam
Aapki Hoon Aapki Rahungi Aitbaar Kijiye

Parhne Waale Hi Darr Jaayen Dekh Kar Isey
Kitaab-E-Dil Ko Itna Naa Daaghdar Kijiye

Naa Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaon
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Naa Muskuraiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar , Kijiye

Phir Sapnon Ka Ashiyan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap khabardar Kijiye

Hamen Naa Dikhaiye Ye Daulat Yeh Shohrat
Hum Pyaar Ke Bhokhe Hain Hamen Pyaar Kijiye


Tere Bina Dil Mera Ek Pal Bhi Nahi Lagta
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Raah-e-Wafa Main Dard K Hathon
Aise Mujhey Majhboor Na Kar
Dekh Mujhey Tu Nazaroon Se
Apni Door Na Kar
Jeevan Ka Safar Tanha Ab Mujhse Nahi Kat Tha
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Dekh Main Zakhmoon Ki Es
Aag Main Jalta Rahta Hoon
Bhier Main Ghum Ki Tanha
Chalta Rahta Hooon
Badal Yeh Jafaon Ka Mere Sar Se Nahi Hat tha
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha

Tere Bina Dil Mera Ek Pal Bhi Nahi Lagta
Aa Jaao Harjai Ghum Mera Nahi Ghat Tha


Singer: Nusrath Fateh Ali Khan

Musician: Farrukh fateh ali khan

Lyricist: Purnam

Type: Qawwali

 

Tumhen dil lagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
TaDapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

Wafaon ki humse tawwaqo nahin hai
Magar ek baar aazamaa kar to dekho
Zamaney ko apanaa banaa kar to dekha
Hamey bhi tum apana banaa kar to dekho

Khuda ke liye chor do abb yeh parda
Ke hain aaj hum tum nahi ghair koi
Shab-e-vasl bhi hai hijaab iss khadr kyun
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho

Jafa’ein bahut ki bahut zulm Dhaye
Kabhi ek nigah-e-karam iss taraf bhi
Hamesha huey dekh kar mujh ko barham
Kisi din zara muskura kar to dekho

Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
Sataatey ho din raat jis tarah mujh ko
Kisi ghair ko yun sataakar to dekho

Agar’chey kisi baat per woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni sahi karlo
Woh maaney na-maaney yeh marzi hai unki
Magar unko ‘PURNAM’ manaa kar to dekho

 

 


Ya nabi aapke jalwon mein wo ranaayi hai
Dekhne par bhi meri aankh tamannayi hai
Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem
Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai

Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Dukh dard-o-alam gham katt-tay hain
Hasnain ke sadqay batt-tay hain
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Khaday huwe hain sar-e-rehguzar madinay mein
Hazaaron shamme hazaaron qamar madinay mein
Sataale jitna sataaye mujhe gham-e-doori
Nikaal dhoop mein saari kasar, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par
Hawaa ko raasta mushkil se milta hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Hawaayen bhi adab ke saath chalti hain
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai
Toh shaabgaam banaam-e-rasool hoti hai
Khud is duwa mein Mohammed ka waasta shaamil
Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Haath mein tasbeeh baghal mein musalla
Lab pe jaari Allah Allah
Kehti hui pohunchi Baitullah
Aur pukaari aye mere Allah
Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay
Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde
Aye mere Allah

(Toh sadaa parde se aayi)

Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai
Jo toh tujhe lena hai lay
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein

Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein
Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein
Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein
Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein

Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Chalo sarr ke ball chalen
Wo bargaah-e-naaz-e-rasool-e-arabi hain
Palkon ka jhapakna bhi wahan pe adab hi hai
Chalo sarr ke ball chalen
Wahan sarr jhukaate hain Auliya
Wahan paon rakhna rawaan nahi
Nazaan hai jis pe husn wo husn-e-rasool hai
Ye kehkashaan toh aapke kadmon ki dhool hai
Taiba ke raaste ka toh kaanta bhi phool hai
Aye rehrawaan-e-shaukh chalo sarr ke ball chalen
Chalo sarr ke ball chalen
Begaana-e-irfaan ko haqeeqat ki khabar kya
Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya
Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya
Wo fazl pe ajaye toh phir aib-o-hunar kya
Taamil ko darr-e-yaar ke sajdon se na roko
Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya
Chalo sarr ke ball chalen

Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Teri nigaah se jalwe bhi mehr-o-maah banay
Jagaye besar-o-samaan jahan panaah banay
Huzoor hi ki karam mein diye tasalli bhi
Huzoor hi mere gham mein meri panaah bane
Wohi maqaam mohabbat ke jalwa-gaah banay
Jahaan jahaan se wo guzre jahan jahan pohunchay
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein

Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Hajiyon aao shahenshaah ka roza dekho
Kaaba ko dekh chuke kaabe ka kaaba dekho
Madina wo hai ke ye ja ja ke sajda karta hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai
Aur chamakta chaand nabi ka talwa lagta hai
Kaaba khud taiba ki jaanib jhukta lagta hai
Kaabe ke kaaba sarkaar ka roza lagta hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Khicha kuch is milaal-i-shaan se naksha Mohammed ka
Ke naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka
Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka
Saraapa noor tha wo kaamat-e-sebaa Mohammed ka
Kisi waaiz nazar aata na tha sayaa Mohammed ka
Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Zinda ye mojeza hai Mohammed ke shaher mein

Aye ‘Raaz’ too toh HIND mein maujood hai magar
Din raath padh raha hai Mohammed ke shaher mein

Poocho usi se kya hai Mohammed ke shaher mein
Ek baar jo gaya hai Mohammed ke shaher mein
Taalib hain unse auliya aur ambiya tamaam
Bakshish karam ataa hai Mohammed ke shaher mein
Sairaab kar rahi hai jo saare jaahan ko
Rahmat ki wo ghata hai Mohammed ke shaher mein
Duniya ke khaak chaanke jo kuch na paa saka
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein

Tanweer kibriya hai Mohammed ke shaher mein
Jalwon ka silsila hai Mohammed ke shaher mein
Laazim hai ehteraam ke nazron se dekhna
Kya jaane koun kya hai Mohammed ke shaher mein
Har shaks ki zubaan se dauraan-e-guftgoo
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein

Baab-e-asar khula hai Mohammed ke shaher mein
Maqbool har dua hai Mohammed ke shaher mein
Dhoka fareb jhoot dagha aur kalaam badd
Koi na jaanta hai Mohammed ka sheher mein
Behre salaam aate hain hardam malayeka
Jaari ye silsila hai, Mohammed ke shaher mein
Dhoonda khuda ko dhoondne waalon ne har jagah
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein

Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein

Ek roz ibrahim se namrood ye kehne laga
Sab toh kehte hain mujhe, too kyun nahi kehta khuda
Bole ibrahim pehle waada kar is baath ka
Maghrib se suraj ko utha, beshak too phir mera khuda
Ek roz ka hai waqiya, aye mominon sunna zara
Zaanon pe sarr rakh ke ALI ke so rahe thay Mustafa
Waqt-e-asar jaata raha, maghrib ka waqt aane laga
Is fikr mein sher-e-khuda ronay lagay
Ansoo rooh-e-Mohammed par giray
Uththay Mohammed Mustafa, bole Mohammed Mustafa
Rotay ho kyun sher-e-khuda
Ranjh hai tumhe kis baath ka
Bole Ali-e-murtaza, waqt-e-asar jaata raha
Kaise karoon sajda adaa
Bole Mohammed Mustafa, aao idhar sher-e-khuda
Ungli shahadat ki utha, maghrib ki jaanib ko kiya
Maghrib se suraj phir utha, waqt-e-asar phir hogaya
Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein


Singer: Mehdi Hassan

 

Kyoon pooch they ho, kya tum se kahoon
Main kis liye jeeta hoon
Shayad ke kabhi mil jaao kahin, main iss liye jeeta hoon
Kyoon poonch tey ho, kya tum se kahoon
Main kis liye jeeta hoon.
Shayad ke kabhi mil jaao kahin, main iss liye jeeta hoon

Jeene ka mujhe kuch shauq nahi
Jeene ka mujhe kuch shauq nahi
Bus waqt guzzara karta hoon
Kuch dher ulajh kar yadoon main,
Duniya sai kanara karta hoon
Marta bhi ussi ki khatir hoon, main jis liye jeeta hoon
Shayad ke kabhi mil jaao kahin, main iss liye jeeta hoon

Main hoon kay sulaghta raheta hoon,
Main hoon kay sulagta rehta hoon
Bujh tha bhi nahi, jalta bhi nahi
Dil hai ke tadapta rehta hai,
Rukta bhi nahi, chalta bhi nahi
Jeenay ki tamanna mit bhi chuki, fir kis liye jeeta hoo
Shayad ke kabhi mil jaao kahin, main iss liye jeeta hoon

Kyoon poochte ho, kya tum se kahoon
Main kis liye jeeta hoon
Shayad ke kabhi mil jaao kahin, main iss liye jeeta hoon


Gujarti hai jo dil pe mere, Use hooton pe lane se kya hoga,
Jo samajh kar bhi na samjhe, Use samjhane se kaya hoga….


Jab chote they tab bade hone ki badi tamana thi…
Magar ab pata chala ki adhure ehsas or toote sapno se acha..
Adhura homework aur toote khilone they…..


Har Gali phoolo se sajaa rakhi hai,
Har chauk par ladkiya bitha raki hai,
Jaane kis gali se Guzrenge mere Dost,
Har ladki ke hath me ek ek Rakhi thamma rakhi hai..


Koun kehta hai
Uske bina hum mar jayenge,
Wo taras jayegi
Pyaar ki ek boond k liye,
Hum toh baadhal hai
Kisi aur par baras jayenge…


Main dooba to kinare pe khadi thi duniya,
Hasne waalon me mera muqaddar bhi shamil tha…
Ro raha tha jo janaze se lipatkar mere,
Kaise keh du ke wahi mera qaatil tha….


Jo Mohabat-E-Fiqr Na Hoti, Haan Tumhe Bhool Jate Sanam,
Kyu Raaton Ki Neendo Ko Phir Apni Gawate Hum,
Raha Baaki Kya Aa Zara Mujh Mein To Dekh….
Ek Tera Chehra Jise Din Raat Aankho Mein Sajate Hai Hum.


A man is lucky, if he is the first love of a Woman.
A woman is lucky, if she is the last love of a man.

 

 

Are you lucky?

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 155 other subscribers

Blog Stats

  • 1,268,351 hits